Tuesday, 16 May 2017

Pimples se Chhutkara

Chehra apki pehchan hai, jab hum kisise milte hai to sabse pehle humari nazar unke chehre par padti hai. Aur isiliye log humesha apni chehre ko sawarke rakhte hai. Lekin agar humare chehre pe pimples ajaye to wo pimples hi humari pehchan si ban jati hai, iski bajah se humare self-confidence bhi kam ho jati hai.Aur hum logo se milne se bhi hichkichane lagte hai.

Pimples kyun?

Ye sawal har kisiko jisko pimples hai hamesha padeshan karti hai, akhir yeh pimples hotey kyun hai? pimples hone kI kuch mukhya karan hai jaise ki...

1.Hormonal imbalances
2. Constipation
3.Stress
4.Pregnancy
       
  Tips
  • Jivanshaili aur khanpan par dhyan de,  tali-bhuni chijo se parhez kare aur taje fruits & vegetables ka jyada se jyada apne ahaar mei le.
  • Chehre ko hamesha saf-sutra rakhe dhul-mitti jama na hone de.
  • Dhup mei nikalte waqt scarp ya sunscream ka istemal karein.
  • Poushtik ahar ke saath saath rojana exercise bhi karein.
  • Raat ki nind bahot jaruri hai isliye rojana 6-8 ghanta nind lein.
  • Triphana ka churan 1 tbspn raatko sotey samay 1glass kunkune dudh ke saath le, isse apko kabj ke padeshani se bhi chhutkara milegi aur pimple se bhi.


Note: Agar pimples ki problem bahot jyada ho to doctor ki salah jaroor lein.

No comments:

Post a Comment