Saturday, 13 May 2017

How to clean Gold jewelry


  • How to clean Gold jewelry?, Sone ke jevar ko kaise saaf karein?
Bharat mein sone ke jevar pidiyon se istemal kiya jata hai, chahe wo shaadiyon mein ho ya koi aur program mei kisi ko kuch gift karna hai to sone ke jever gift karna log jyada pasand karte hai.  Aur ye jevar aurat ke shrangar mei char chand laga dete hai.

Lekin jab jevar istemal hote haI to gande bhi ho jate hai, jab gande ho jate hai to shrangar mei char chand ki jagah ye jevar hume sharmindagi ka mahsoos karati hai. 
Ab jab gande hote hai to saaf karna bhi jaroori ho jata hai.

To chaliye hum batate hai ki jevar saaf kaise karte hai, lekin...... ye kaam aap gharpar kabhi bhi na kare,  kyunki ye bahot hi risks se bhara kaam hai,  isse apko bahot zyada nuksan ho sakti hai.

Sone ka jevar saaf karne ke liye acid ka istemal kiya jata hai,  sabse pehle ek acid proof katore mei acid liya jata hai usko stove mein garm kiya jata hai,  jab acid thoda sa garm ho jata tab usme sone ka jevar dala jata hai uske bad turant hi jevar se mail nikalne lagte hai,  agar mail jyada rahe to usme thode thode chutkiyon mei soda dala jata hai taki mail puri tarah se nikal jaye, ab jab mail nikalna band ho jaye tab acid mei se jevar ko nikal ke paani mei dala jata hai.  uske baad jevar ko us paani se nikalkar dusri bar saaf paani se dho liya jata hai
kiaur saaf kapde se poch diya jata hai, ye pura kaam bahot hi prashikshit log karte hai kyun ki ye bahot hi khatarnak kaam hai,  jara si bhi chuk hone se apko bahot sare nuksan uthani par sakti isliye kabhi bhi gharpar ise dohrane ki kosis na kare.
apne city mei koi bhi jewellers ki dukan par le jaye wo apko professional byakti se clean karwa ke de.

agey ke post mei hum apko batayenge ki Kaise apne jevar ki chamak barkarar rakhe is bare meii,  aur bhi rochak jankari ke liye humare blog par visit karte rahe.

is se jude aur koi bhi jankari agar apko chahiya to comment jarur kare

Is post ko padhkar agar aapke  jankari mei kuch izafa hua hai to ye dusro ko bho share kare.

No comments:

Post a Comment