Wednesday, 17 May 2017

How to Unlock Android phone

Kya ap apne Android phone ke screen lock password bhul gaye hai, aur unlock nehi kar pa rahe.  To chinta na kare.....

Mobile switch off kardein ab Power button, Volume+ aur Volume- buttons ko ek saath dabaiye, kuch seconds babake rakhiye isse handset factory mode mei chala jayega Ab apke screen ke samne kuch options ayenge usmese 'Wipe data/factory reset' option ko oke karna hai,  options ke upar niche jane ke liye Volume buttons ka istemal karein aur Ok karene ke liye Power button ka istemal karein. Jaisehi ap select karke ok karenge mobile set restart ho jayega aur screen unlock ho jayega.

How to polish Silver at home

Har koi silver yani chandi ke jevar use karte hai. Lekin aksar ye gande ho jate hai aur garmiyon meto kuch jyadai hote hai. Niche bataye gaye asan tarike se aap ghaarpar hi silver clean kar sakte hai.                                        
                Gold Polish protection
                How to polish Gold

To be use:

  1. Colgate tooth paste
  2. Tooth brush

 Ji han! hum sabke ghar colgate tooth paste rehta hai,  aur usi se aap silver clean kar sakte hai.
Colgate ka Strong teeth wala paste le. Sabse pehle jo bhi jevar ap saaf karna chagte hai use 5 minutes tak garam paani mei bhigoke rakhe,  5 minutes baad garam pani se nikalkar thande pani se jaise brush karte hai waise hi brush kardijiye fir saaf paani se dho lijiye,  apke chandi ke jevar saaf ho jayenge.

Idea flash messages

To Stop Flash messages of Idea power simply follow these instructions.  Go to your handsets dial pad and dial *121*46#.
For doing that a flash message will receive you that 'Thank you for your request,  your data notifications will stop shortly'
This step will also stop Idea push messages. 

Tuesday, 16 May 2017

Samsung Dual sim problem solved


Dosto agar aap samsung ka koi bhi Dual sim wala mobile use karte hai to apne dekha hoga jab bhi aap net chalate hai Mobile Data se to jis sim se Data on hai usme to calls atey hai lekin dusri wali sim mei call nehi ate aur jin logo ne call kiye the bolte hai "arey yaar tumhara number kyun nehi lag raha".  Fir hum dekhte hai ki jab Data off rahta hai tab incoming calls atey hai lekin Data on rahe to dusre number par call nehi atey. Yeh problem maine bhi kai time tak face kiya hai,  baad maine jab ispar dhyan diya to solution bhi mujhe mil gaya aur Data on rehte huye bhi dusre sim par call aney lage. Aaj mai wohi solution aapke samne rakhne wala hun,  bas kuch hi steps follow kijiye....


  1.  Apne mobile set ki Settings par jaye.

2. Device Setting par click kare.
3.Ab Sim card maneger par jaye.
4. Iske baad Smart Dual Sim option par jaye
5. Yaha apko Phone Number per jana hai
6. Sim 1 par Sim 1 ka number daliye aur Sim 2 par Sim 2 ka number daliye.
7. Ab Ok per click karke Dual Sim always on option ko on karde.

Bas itna sa kaam karne ke baad apke dual sim ka problem solve hojayega.

Pimples se Chhutkara

Chehra apki pehchan hai, jab hum kisise milte hai to sabse pehle humari nazar unke chehre par padti hai. Aur isiliye log humesha apni chehre ko sawarke rakhte hai. Lekin agar humare chehre pe pimples ajaye to wo pimples hi humari pehchan si ban jati hai, iski bajah se humare self-confidence bhi kam ho jati hai.Aur hum logo se milne se bhi hichkichane lagte hai.

Pimples kyun?

Ye sawal har kisiko jisko pimples hai hamesha padeshan karti hai, akhir yeh pimples hotey kyun hai? pimples hone kI kuch mukhya karan hai jaise ki...

1.Hormonal imbalances
2. Constipation
3.Stress
4.Pregnancy
       
  Tips
  • Jivanshaili aur khanpan par dhyan de,  tali-bhuni chijo se parhez kare aur taje fruits & vegetables ka jyada se jyada apne ahaar mei le.
  • Chehre ko hamesha saf-sutra rakhe dhul-mitti jama na hone de.
  • Dhup mei nikalte waqt scarp ya sunscream ka istemal karein.
  • Poushtik ahar ke saath saath rojana exercise bhi karein.
  • Raat ki nind bahot jaruri hai isliye rojana 6-8 ghanta nind lein.
  • Triphana ka churan 1 tbspn raatko sotey samay 1glass kunkune dudh ke saath le, isse apko kabj ke padeshani se bhi chhutkara milegi aur pimple se bhi.


Note: Agar pimples ki problem bahot jyada ho to doctor ki salah jaroor lein.

Whiteton face tips

Har koi gora chehra pane ki tamanna karte hai, lekin sabke pas gora chehra nehi hote. Pehle to Mei apko batana chahunga ki  Agar apka chehra gora nehi hai to iska matlab ye nehi ki aap khubsoorat nehi hai, beshak aap khubsoorat hai, apka kala chehra apki khubsoorti ko kam nehi karti jo aisa sochte hai unke soch mei badlab karna chahiye.  Jo gore nehi hotey unme ek alag hi attraction hoti hai jo har kisike samajh mei nehi ati.  Yaha hum apko apna chehra Nikharne ke bare mei batayenge,  kuch chije hai jinhe apko dhyan mei rakhna hai....

   Fair Skin ke liye 


  • Har din Khub sara paani piye jisse humare twacha se andarki gandegi pasine ke roop mei niklenge aur twacha saf-sutra rahegi.
  • Koi Fairness cream ki jagah aap sunscream ko ahmiyat dei,  kyun ki suraj ki hanikarak roshni ke bajah se hi skin jal jati hai aur hum kale dikhte hai, Sunscream SPF 25 ke upar ka istemal karna chahiye.
  • Taje sabji aur fruits khaya karein,  aap chaheto inke juice nikalke bhi pee sakte hai.
  • Vitamin-C yukt chije khaye jisse apki skin chamakne lagegi.
  • Raat ko jaldi so jaye aur Subah jaldi uthke morning walk par jaye jisse apko fresh weather ka faida milega aur apko achhi matra mei oxigen mil jayegi.


In baton par Rojana amal karte rahenge to kuch hi samay mei aap apne andar aur bahar bhari badlaw dekhenge aur chehra chamakne lagega.

Weight loss without exercise

Aaj-kal ke kharab khanpan aur byast
dincharya mein saririk sram na karpane se badi hui tond ek am samassya ban gai hai, ye na sirf apke personality ko kharab karta hai balki kai sare bimari ka  ghaar bhi banta jata hai.
Ek chhota sa gharelu nuskha jo apki pet ki charbi bohat hi jaldi kam karsakta hai

Ingredients 1:Dalchini (Cinnamon)
                        2:Sahed    (Honey)

Waise to Dalchini masale ke roop mein use kiya jata hai lekin iske bohot se ousadhi gun bhi hai, ye cancer kr cell ko rokne mein, blood sugar aur blood pressure ko control karne mein upyugi hai...jab Dalchini ka honey ke sath use hota to iska ousodhi gun aur bar jata hai
 
 Method 1: Pehle Dachini ko pis ke powder bana lijiye, ab 250 ml pani mein 1teaspoon dalchini powder ke saath gas mein ubal lijiye, jab ye dalchini ka pani thanda hojaye tab usmein 1teaspoon honey milaiye....
is ko ap rat ko bed pe sone se pehle lijiye.

Method2:  1 litre paani mein 4 teaspoon Dalchini ubalke thanda hone de fir isko bottle mein bharke freeze mein rakhe, iska 1glass pani mein 1teaspoon honey milake rat sote watk piye

Note: Jyada asar ke liye rat aur subhe naste ke 30min pehle le sakte hai

Sunday, 14 May 2017

White Teeth at home

Moti jaise safed daant

Good Health depends on good teeth..ji ha dosto achche swasth ke liye hume daton ki achchi safai rakhni chahiye, iske liye hume kuch baton par dhyan dena padega.Agar ap balon ke jharne se peresan hai to humara post Hair fall & Solution ko padh sakte hai. Daton ke pilapan ke liye agey padhte rahiye...
        Tips
  1. Subah- sham dono time brush karni chahiye.
  2. Chaye,coffee jyada peene se ya fir cigarette, tabbaku ka istemal se bhhi daton mei pilapan aa sakta hai. isliye in chijo se dur rehna chahiye. 


Safed daant sirf 5 minutes mein

  • Waise to dentist ke pas jake aap apne daton ko chamka sakte hai lekin is mein bohot jyada kharcha ho jata hai. Aaj hum apko bohot hi sasta gharelu upai batayenge jisse aap apna dant ghaarpar hi moti jeisa chamka sakte hai wo bhi sirf 5 minute mei.

   Steps
 Ingredients
  1. Nibbu (Lemon)
  2. Baking soda


Proccess

Pehle ek katodi mein ek chammach baking soda lijiye usmein nibbu nichor kar uska juice nikaliye aur dono milakar paste  bana lijiye, Ab ise apne daton mein do se teen minute lagakar rakhiye, uske bad toothpaste se brush karlijiye.. iske istemal se apki dant moti jeise chamakdar aur safed hojayenge..

Pura Post padhne ke liye dhanyabad.

Hair fall problem

Hair fall aur Solution
Hum jitni modern ho rahe hai humare jivanshaili mei bhi bhari badlab arahe hai aur iska asar humare shwasth mei par rahi hai. Ajke daur mei Hair fall  balon ka jharna jaise aam baat ho gayi hai, jiske chalte hume akhir mei ganjepan ka samna karna parta hai. Lekin agar hum hair fall ke shuruwat mei hi kuch baton par dhyan de to hum ganjepan se bach sakte hai.


Sign of hair fall

Doctors kehte hai din mei 60-70 balon ka jharna aam baat hai. Lekin agar isse jyada ho to ye dhyan dene wali baat hai aur iska ilaj karana chahiye.
Agar apke sir(head) ka skin bahot jyada chamak raha hai to ye bhi hair fall ka sign hai.

Solution 

Hair fall kai karno se ho sakta hai, har kisiko ek hi karan se hair fall nehi hotey sabke liye alag alag cause ho sakte hai dekhna ye hai apko kis karan se hai fall ho rahi hai. abhi hum niche kuch karan bata rahe hai sayad inmese aapka problem bhi related ho...

1. Healthy Food→ Daur- bhaag bhari jindagi mei hum apne khan-pan mei dhyan nehi dete jabki yeh humare swasth ke liye sabse mahatpurn hai. Junk food,  tali-bhuni khana aur masaledar khana humare swasth kharab karti hai,
  • Balon ke liye Protien bahot jaroori hai is liye protein yukt khane par jor dei, Dal, chana, rajma jaise saboot dano mei bhari matra mei protien hote hai aur Machli, Maton, egg se bhi bahot jyada protien mil sakti hai.
  • Omega 3 fati acid balon ke liye jaroori hai ye bhi machli ke khane mil jati hai
  • Vitamin C balon ko jar se majboot banati hai iske liye aap Nimboo, Jaam, aur Amble ka istemal apne ahaar mei kar sakte hai

2. Water- Pani ke kam intake se skin mei moisture kam ho jati hai jisse baal jharte hai isliye din mei kamse kam 3 litre paani piye jisse apke skin ki moisture bani rahegi aur balon ka jharna bhi kam ho jayega.
3. Alcohol - Alchohol,  cigarette jaise buri adat se apne apko dur rakhe in cheejo ki bajah se hair fall ho sakti hai.
4. Sleep- Raat ko kam so rahe hai to sabdhan kam neend lene se apki baal jhar sakte hai. Raat ko 6 se 8 ghante neend leni chahiye.
5. Stress- Apni zindagi se stress ko dur karein,  stress apke health mei bahot nuksan karte hai aur isse baal bhi jharte hai.
6. Constipation - Agar Apko kabj hai to ho sakta hai yehi sabse main karan hai hair fall ki, kyunki jyadatar logoko kabj ke karan hi hai fall hote hai isliye agar apko kabj hai to pehle kabj ka ilaj karaye.

In baton ka khayal kuch dino tak rakhenge to aap dekhene apke baalon ka jharna kam ho jayenge,  aur agar iske baad bhi hair fall kam nehi hote to kisi doctor se jaroor milen ho sakta ap in sab gharelu nuskho mei samai lagaye aur apki problem kuch aur hi ho, isliye ek achche Dermetologist(skin ki doctor) se jaroor milein.

Aise hi aur bhi health se jude jankari hum apko dete rahenge isliye humare page par visite karte rahe aur durso ko bhi share karein.

Saturday, 13 May 2017

Gold Polish protections

Jevar ki chamak fika na padhe

★Jaisa ki pichle post mei humne apko bataya tha ki Sone ke jevar saaf kaise ki jati hai is post mei hum apko ye batayenge ki apne sone ki jevar ka chamak barkarar kaise rakhe....
        TIPS
1. Velvet ki box ka istemal na kare, jewelers jo velvet ki box mei jevar pack karke dete hai usme use hone bale chemicals ki bajah se apke jevar mei kale dhabbe pad sakti hai.  agar velvet box mei rakhna hi hai to pehle jevar ko ek saf plastic ki panni mei achche se pack karde uske baad velvet box mei rakhe, sabse behtar hai aap apne jewelers ko bataye ki wo apko jevar velvet ki jagah leather ki bane box mei den usme jevar sehi rahenge.
2.Chemicals - koi bhi chemical apke jevar ka chamak kharab kar sakti hai jaisa ki Perfume, skin cream, poweder kuch bhi aur piyaj(onion) se bhi jevar kharab ho sakti hai isliye in sab chizo se apne jevar ko bachakar rakhe.
3. Soap-Oil - Sabun aur teil mei bhi chemicals rehte hai isliye jab inka istemal karna ho to jevar ko safe jagah par rakh de uske baad sabun ya teil ka istemal kare.

Upar bataye gaye baton ka khayal rakhenge to apke jevar saalo tak chamakte rahenge.

Pura post padhne ke liye dhanyabad,  agar apko ye post padhkar achcha laga ho to apne dost aur risteydaro ke sath share jaroor kare take unko bhi in naton ka khayal rahe aur apko dua milte rahe..

isse related koi sawal ho to comment box par jarur likhe hum apke sawal ka jawab jaroor denge.

How to clean Gold jewelry


  • How to clean Gold jewelry?, Sone ke jevar ko kaise saaf karein?
Bharat mein sone ke jevar pidiyon se istemal kiya jata hai, chahe wo shaadiyon mein ho ya koi aur program mei kisi ko kuch gift karna hai to sone ke jever gift karna log jyada pasand karte hai.  Aur ye jevar aurat ke shrangar mei char chand laga dete hai.

Lekin jab jevar istemal hote haI to gande bhi ho jate hai, jab gande ho jate hai to shrangar mei char chand ki jagah ye jevar hume sharmindagi ka mahsoos karati hai. 
Ab jab gande hote hai to saaf karna bhi jaroori ho jata hai.

To chaliye hum batate hai ki jevar saaf kaise karte hai, lekin...... ye kaam aap gharpar kabhi bhi na kare,  kyunki ye bahot hi risks se bhara kaam hai,  isse apko bahot zyada nuksan ho sakti hai.

Sone ka jevar saaf karne ke liye acid ka istemal kiya jata hai,  sabse pehle ek acid proof katore mei acid liya jata hai usko stove mein garm kiya jata hai,  jab acid thoda sa garm ho jata tab usme sone ka jevar dala jata hai uske bad turant hi jevar se mail nikalne lagte hai,  agar mail jyada rahe to usme thode thode chutkiyon mei soda dala jata hai taki mail puri tarah se nikal jaye, ab jab mail nikalna band ho jaye tab acid mei se jevar ko nikal ke paani mei dala jata hai.  uske baad jevar ko us paani se nikalkar dusri bar saaf paani se dho liya jata hai
kiaur saaf kapde se poch diya jata hai, ye pura kaam bahot hi prashikshit log karte hai kyun ki ye bahot hi khatarnak kaam hai,  jara si bhi chuk hone se apko bahot sare nuksan uthani par sakti isliye kabhi bhi gharpar ise dohrane ki kosis na kare.
apne city mei koi bhi jewellers ki dukan par le jaye wo apko professional byakti se clean karwa ke de.

agey ke post mei hum apko batayenge ki Kaise apne jevar ki chamak barkarar rakhe is bare meii,  aur bhi rochak jankari ke liye humare blog par visit karte rahe.

is se jude aur koi bhi jankari agar apko chahiya to comment jarur kare

Is post ko padhkar agar aapke  jankari mei kuch izafa hua hai to ye dusro ko bho share kare.