Hum jitni modern ho rahe hai humare jivanshaili mei bhi bhari badlab arahe hai aur iska asar humare shwasth mei par rahi hai. Ajke daur mei Hair fall balon ka jharna jaise aam baat ho gayi hai, jiske chalte hume akhir mei ganjepan ka samna karna parta hai. Lekin agar hum hair fall ke shuruwat mei hi kuch baton par dhyan de to hum ganjepan se bach sakte hai.
Sign of hair fall
Doctors kehte hai din mei 60-70 balon ka jharna aam baat hai. Lekin agar isse jyada ho to ye dhyan dene wali baat hai aur iska ilaj karana chahiye.
Agar apke sir(head) ka skin bahot jyada chamak raha hai to ye bhi hair fall ka sign hai.
Solution
Hair fall kai karno se ho sakta hai, har kisiko ek hi karan se hair fall nehi hotey sabke liye alag alag cause ho sakte hai dekhna ye hai apko kis karan se hai fall ho rahi hai. abhi hum niche kuch karan bata rahe hai sayad inmese aapka problem bhi related ho...
1. Healthy Food→ Daur- bhaag bhari jindagi mei hum apne khan-pan mei dhyan nehi dete jabki yeh humare swasth ke liye sabse mahatpurn hai. Junk food, tali-bhuni khana aur masaledar khana humare swasth kharab karti hai,
- Balon ke liye Protien bahot jaroori hai is liye protein yukt khane par jor dei, Dal, chana, rajma jaise saboot dano mei bhari matra mei protien hote hai aur Machli, Maton, egg se bhi bahot jyada protien mil sakti hai.
- Omega 3 fati acid balon ke liye jaroori hai ye bhi machli ke khane mil jati hai
- Vitamin C balon ko jar se majboot banati hai iske liye aap Nimboo, Jaam, aur Amble ka istemal apne ahaar mei kar sakte hai
2. Water- Pani ke kam intake se skin mei moisture kam ho jati hai jisse baal jharte hai isliye din mei kamse kam 3 litre paani piye jisse apke skin ki moisture bani rahegi aur balon ka jharna bhi kam ho jayega.
3. Alcohol - Alchohol, cigarette jaise buri adat se apne apko dur rakhe in cheejo ki bajah se hair fall ho sakti hai.
4. Sleep- Raat ko kam so rahe hai to sabdhan kam neend lene se apki baal jhar sakte hai. Raat ko 6 se 8 ghante neend leni chahiye.
5. Stress- Apni zindagi se stress ko dur karein, stress apke health mei bahot nuksan karte hai aur isse baal bhi jharte hai.
6. Constipation - Agar Apko kabj hai to ho sakta hai yehi sabse main karan hai hair fall ki, kyunki jyadatar logoko kabj ke karan hi hai fall hote hai isliye agar apko kabj hai to pehle kabj ka ilaj karaye.
In baton ka khayal kuch dino tak rakhenge to aap dekhene apke baalon ka jharna kam ho jayenge, aur agar iske baad bhi hair fall kam nehi hote to kisi doctor se jaroor milen ho sakta ap in sab gharelu nuskho mei samai lagaye aur apki problem kuch aur hi ho, isliye ek achche Dermetologist(skin ki doctor) se jaroor milein.
Aise hi aur bhi health se jude jankari hum apko dete rahenge isliye humare page par visite karte rahe aur durso ko bhi share karein.